Wednesday, 29 August 2012

Quaid Tera Watan


Quaid Tera Watan.

By: Taqveem Ahsan Siddiqui


Ae quaid Teray Watan Ka Kya haal sunaoon
Jamhuriat main jamhur lutay hain kesay bataoon

Aaeen e No kya hai, tarz e Kuhan pay israar
Aur kahain hum in hukmarano se bezaar

Khaab huay Paharon Ki Chataano par baseray
Katray gaye in kay par main kya bataoon

Idraak hua nahin inhain apni pamaali ka
Lutairon kay takht in kay khun se sajay

Inhi k paseenay se bharay, khwaas ki Tijori
Tum hee kaho ye istehsaal kesai bhulaoon

lut gaye, mit gaye, bay hisaab bik gaye
"Namaaloom Afrad" in k Qatil ho gaye

Mazaq Uratay hain yeh rehzan Khal q e khuda ka
Phir Inhain in k Anjaam tak kiu na pohonchaun

Fard e Jurm hai yeh, Noha nahin Kamzor Pamaal Ka
K bekhabri main waar sheva nahin sahib e imaan ka

Kehta hai Ahsan, Uthay gee Yaheen Se khalqat,
Qareeb hai, tujhey teray khab ki tabeer Dikhaoon



Taqveem Ahsan Siddiqui

2 comments:

  1. Excellent poem and reflection of thoughts...simply beautiful Taqveem

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for your Appreciation and encouragement Asim bhai.

      Delete